Haalaat (Interlude)-Karun

Haalaat (Interlude)

歌手:Karun

时间:2021-03-28

    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
猜你喜欢的歌曲
歌词

Khaali khayaal leke ghumta hu

Arzoo poore mann se poori karta hu

Chalta hu manzil ki or

Najaane kyu hadd se darta hu

Main jaanu khelna inn lehron se

Ye mere baaye hath ka khel hai

Main seekhu tairna inn lehron se

Ye mere saaye se khaata mel hai

Uchi diwaron se koodna pasand nahi

Darta hu uchai se

Ye darr uchai ka nahi hai janaab

Khauf to marne ka hai

Gir kar uss khai mein

Main rahu maun jab ho mujhe bahot kuch hai kehna

Main kahu nahi maloom jab ho mujhe dard hai sehna

Mehsoos kar pau sab kuch wo zakhm dekh kar main

Main lahu ka ghar banau jab ho mujhe andar hi rehna

Hai aag seene mein ki kehdu sab kuch

Hai chorh diya sath tera rehlu akela sach much

Thi aadat nibhane ki nibha na paata hu ab main

Hai jorh liya samay ab khud ke liye kuch kuch

Kuch baatein adhoori reh jaati hain

To unka adhoora rehna hi acha hai

Ye mere haalaat hain

Meri zubaani

展开显示全部歌词