
时间:2018-09-01
在手机上保存,获得更好体验
Aaja Shaam Hone Aaee - Lata Mangeshkar, S.P. Balasubrahmanyam
Lyrics by:Dev Kohli
Composed by:Raamlaxman
Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
Toh kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
Oh no
Tu chal main aayi
Aaja shaam hone aayi
Mausam ne li angdaai
Toh kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
No no
Tu chal main aayi
Baja kya hai dekho zara tum khadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Baja kya hai dekho zara tum khadi
Guzar jaaye na prem ki ye ghadi
Aati hoon thoda sa dheeraj dharo
Haan
Laga doongi main prem ki phir jhadi
Oh utni hi door hai tu
Jitni kareeb hai
Tere mere pyar ka
Kissa ajeeb hai
Dhat teri ki
Ab toh jaan pe ban aayi
Yeh hai pyaar ki gehraai
Ab toh jaan pe ban aayi
Ye hai pyaar ki gehraai
Toh kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
My God
Tu chal main aayi
Come soon yaar
Bahut ho chuki hai teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Eh bahut ho chuki hai Teri dillagi
Chali aao ab shaam dhalne lagi
Mere dil mein kitni umangein bhari
Tumhein main batati hoon aakar abhi
Haha
Mera jaadu chal gaya
Tera chehra khil gaya
Peechhe peechhe main chali
Aage aage tu chala
Dhat tere ki
Toh kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
Kar do sabko tum goodbye
Maine pyaar kiya main aayi
Toh kis baat ki hai ladaai
Tu chal main aayi
Make it fast
Tu chal main aayi
Oh come on