Bayaan-Akshay Agarwal
    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
歌词

Badhi jo hai, dhadkane ye,

Dil ko kaise, sambhaale mein phiru

Khwabon ki , kashtiyon mein,

Bin doobe, kab tak mein phiru.

Subah ke, lamhe jinmein

Rahien thi,

Dikh rahi, khilte se

Gulaabon si.

Raatein bhi, chaand ki,

Gulaami Mein,

Kat ti thi,

Zeheno ki bayaani Mein.

Roothi si hawa sang ur chala,

Vakt saajnaa,

Dhoondu bhi kahan,

Tu hi bata

Badhi jo hai, dhadkane ye,

Dil ko kaise, sambhaale mein phiru

Khwabon ki , kashtiyon mein,

Bin doobe, kab tak mein phiru.

kaise dorahon pe

Aake khade hum hain,

Jaana kahaan tha,

Wahaan raaste kam - chale,

Mann chale.

Kis bebasi ka natija,

Hua ye jo,

Aakhir mukaam pe

Zameen na ho Pairo tale,

Kya chalein.

Iss pal mein Likha jo Hua,

Dono Raahon ka hi Bayaan,

Phir bhi Dikhe na hai Kahin,

Agle Lamhe ki Kya Razaa.

展开显示全部歌词