Chapter 12 — KAAL RATH
Intro:
Shabd nahi ab ran bole, din baarahvaan yuddh ka shuru hua.
Dronacharya ka chakra chala, shishyon samaksh jab guru hua.
Dharti kaamp uthi, 11 din ke bheeshan sangraamon se.
Aachchhaadit teeron se laakhon, sampoorn kshetra ab Kuru hua.
Verse 1:
Shankhnaad har or goonje, vaayu ka veg bhi teevra hua.
Dono pakshon ne rache vyuh, sena sanrakshan sheeghra hua.
Pandavon ne rach daala saptavyuh, saat bhaagon mein sena banti.
Kauravon ki sanyukt vyuh mein saji sena, Dron the senapati.
Saat bhaag mein baant sena, har bhaag sambhaale Maharathi.
Bheem, Shikhandi, Nakul, Arjun, Sahdev, Dhrishtadyumn, Satyaki.
Dronacharya ne Bheem, Dhrishtadyumn sena par prahaar kiya.
Rathi saikdon, paidal sainik, haathiyon ka sanhaar kiya.
Nav din, nav rananeeti, nav gati, bandi banaane ki Dharmaraj.
Arjun ko le jaaye door Trigart, unka yahi karm aaj.
Door Yudhishthir se honge Arjun, to paar paa jaayenge.
Bandi hue Yudhishthir, Pandav swayam haar jaayenge.
Yuddhkshetra mein date Yudhishthir, shaurya, bal va vishwas liye.
Khade bankar chattaan Satyaki aage unke, rath saath liye.
Dron badhe karne prahaar, gati teevra aur dhanu haath liye.
Kintu Satyaki ne chhode baan, maare ashwa, pahie rath, kaat diye.
Hook:
Baandhan chale Yudhishthir Kaurav, yuddh jeetne ko aatur.
Khade Satyaki saath, bole,"Hey Dharmaraj, peeche na mud."
Aaye yoddha kitne bhi, praan de doonga, baandhne main na doon.
Jab talak na chhoote ye praan, hey taat, peeche hi rehna tu. ×2
Verse 2:
Ran mein ab na samvaad bacha, sabne hi baanon ka swaad chakha.
Satyaki ne guru Dron shastron se door Yudhishthir aaj rakha.
Satyaki ne Kaurav ki kaafi sena mein aisa utpaat rakha.
Raktpaat kiya jamke aaj, Madhav ka usne vishwas rakha.
Haathiyon ki chinghaad goonje, dhara hilti baanon ki varsha se.
Shastra chamke aise gagan mein, bhay vyaapt vajra na barsa de.
Ranbhoomi jal rakt rachi, shav parvat se uthlaaye dikhe.
Ek baan le laakhon praan, har or yoddha ghabraaye dikhe.
Jalsandhi, sena mlechchhon ki, Trigarton ki gaj sena.
Satyaki ke haathon hui hai mrityu ko praapt ye sab sena.
Karnputra, Prasann, Sudarshan, vadh dono ka kar daala.
Kintu haath Bhurishrava ke ho paraast, aaj wo bachte na.
Kinchit samay par pahunche Arjun, Satyaki ke bach gaye praan.
Dhaal banke phir se khada tha, Pandav ka Parth yun thaame baan.
Yuddh kitna bheeshan ho chahe, bandi na hone doon bhrata jyeshth.
Saamne se aa jaaye chahe guru Dron, Karn, kitne bhi shreshth.
Hook:
Rankshetra nahi yah, mrityu ka parv hai.
Har veer shaurya ka, deve sandarbh hai.
Har baan teekshn hai, har vaar achook.
Har yoddha vidya par, kare apni garv hai. ×2
Outro:
Is prakaar 12vein din ke ant tak Kauravon ki Yudhishthir ko bandi banaane ki yojana phir se asafal rahi.
Satyaki ke saahas aur Arjun ke samay se vaapas pahunchne ke kaaran Kaurav 12vein din bhi unko bandi na bana sake aur suryaast dhalne ke saath hi yuddh samaapt hua.
Aaj ke is yuddh mein dono hi pakshon ko baraabar ki haani pahunchi.
Samaapt।