
在手机上保存,获得更好体验
(Chorus)
Na pehchaanta main tujhe,
Na hi jaanu main, tu kaun?
Sunne laga John, jabse baby you’re gone.
Dil se tha main real, par tu thi just a con.
Aaj bana main wo naam, jise bolti tu known.
(Verse 1)
Na pehchaanta main tujhe,
Na hi yaad hai tu kaun?
Nahi chahta karna baat tujhse,
Karna na tu phone,
Aana na tu close, mujhe rehna hai alone,
Sunne laga John, flight mode mera on.
Sun raha hoon John, flight mode pe hai phone,
Nahi aana chahta close tere, rehna hai alone,
Dil se tha main real, par tu thi just a con.
Aaj bana main wo naam, jise bolti tu known.
(Bridge)
Teri gali se jaana jab hum nikle,
Aise nikle ke maano dum nikle,
Aag dil sheher mein tere lagi jis din,
Sabse aakhir mein wahan se hum nikle.
(Verse 2)
Sochta tha pehle, zindagi khwab kyu dikhati?
Jo tha nahi mera, uski yaad kyu dilati?
Mita chuka hoon main tujhe dil se is tarah,
Teri soorat bhi mujhe ab yaad nahi aati.
Ab dooriyon ka aalam bhi kuch aisa ho gaya,
Tere baad na jaane main kaisa ho gaya,
Mere liye to hamesha meri jaan thi na tu,
Par tere liye sab kuch kyu paisa ho gaya.
(Chorus)
Na pehchaanta main tujhe,
Na hi jaanu main, tu kaun?
Sunne laga John, jabse baby you’re gone.
Dil se tha main real, par tu thi just a con.
Aaj bana main wo naam, jise bolti tu known.
(Verse 3)
Pee li hai sharaab, par madhosh bhi na hua,
Tere baad maine baby, kisi ko bhi na chhua,
Itna zyada main ab ajeeb ho chuka hoon,
Khudko kiya hai tabaah, aur afsos bhi na hua.
Marne ki bhi koshish ki thi,
Doston ne roka,
Bole “jaane de na yaar,
De de ek aur mauka”,
Ek nahi 24 baar
Maine diya tujhe mauka,
Par 24 minute baad hi
Tune fir se diya dhokha.
Ye 24 wala baar
Main pehle bhi likh chuka hoon,
Haan emo wali vibe mein
Pehle bhi dikh chuka hoon,
Pehle bhi keh chuka hoon,
Tera saga nahi hai koi,
Tera bhai tha na wo,
Jiske saath mein tu soyi?
Le khol diye raaz tere,
Ab parwah hi nahi,
Mujhe fark nahi padta,
Duniya kya hi bolegi,
Jiske saath hai tu aaj,
Uski bhi sagi nahi,
Kal jisse bhi milegi tu,
Usi ki ho legi.
(Verse 4)
Tere baare mein sochna bhi chhod chuka main,
Likhke zakhm panno ko marod chuka main,
Teri na mujhe ab talaash baaki hai,
Ghar pe rakhe tohfe tere, tod fod chuka main.
Door hokar tujhse, ab aa raha hai maza,
Saath rehna tere mujhe lagta tha saza,
Raahon pe akele chalna seekh liya hai,
Khush rehna ismein hi, ab hai meri raza.
(Chorus)
Na pehchaanta main tujhe,
Na hi jaanu main, tu kaun?
Sunne laga John, jabse baby you’re gone.
Dil se tha main real, par tu thi just a con.
Aaj bana main wo naam, jise bolti tu known.
(Signature Tag)
Koi puche kaun aaya?
Koi puche kaun aaya?
Koi puche kaun aaya?
Kashhh!!!