Ichakdana-Aman Pant
    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
歌词

Sar bhannaya tote ud gaye

Chipka chabook ghode khul gaye

sar se lekar paanv talak rang gaye kajal ki kothariya mein

gusse ka ham thook gatak gaye , banke dekho dhoop chatak gaye

haath laga na kuch bhi bhaiya , lut gaye bhari dupariya mein

Ichakdana uchakdana phasa kabootar chug ke dana

khaya piya kuch nahi gilas toda barah aana

Ichakdana uchakdana phasa kabootar chug ke dana

khaya piya kuch nahi gilas toda barah aana

Do Ekkam do , Do Dooni Char

Kawwe ne kar diya kawwe pe vaar

Do tiya che , Do chauke aath

Kawwa lagawe se kawwe ki what

Do panje das Do chakke barah

Kawwe se aakhir mein kawwa hi haara

Do satte chaudah atthe solah hota hai

kawwa to ghana badbola hota hai

DO Naham attharah , daham kahte hain bees

kawwe ka pahada hai ye kawwa very cheap

Kawaa very cheap

Kawaa very cheap

Rngbaaji ki hawa bhara gubbara phoota hai

baitha apni kismat pe tu gaad ke khoota hai

jab teer liya udta babua phir kaahe soche tu

tere hi kankad se tera matka phoota hai

dekh tamasha ban gaye kaise ham to beech bajariya mein

soye the ham mahal mein lekin aankh khuli hai jhopadiya mein

haath laga na kuch bhi bhaiya kuch na bacha gathariya mein

Ichakdana uchakdana phasa kabootar chug ke dana

khaya piya kuch nahi gilas toda barah aana

Ichakdana uchakdana phasa kabootar chug ke dana

khaya piya kuch nahi gilas toda barah aana

展开显示全部歌词