Tere Baad Phir Kisi Se-Rashid Khan

Tere Baad Phir Kisi Se

歌手:Rashid Khan

时间:2022-12-01

    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
歌词

Mujhe Tu Jaan Kaheti Hai

Magar Ye Jaanta Hun Main

Jarurat Hun Main Bas Teri

Tujhe Pahechanta Hun Main

Tera Har Dard Saheta Hun

Magar Khamosh Raheta Hun

Kaha Pahele Bhi Jo Tujhse

Wahi Phir Aaj Kaheta Hun...Wahi Phir Aaj Kaheta Hun

Tu Meri Jaan Mange To

Kabhi Inkaar Nahin Hoga

Tere Baad Phir Kisi Se

Mujhe Pyar Nahin Hoga

Jeena Sazaa Hai To Kya

Kaise Bhi Jee Lunga Main

Har Khushi De Ke Tujhe

Aanshuyon Ko Pi Lunga Main

Shikwa Karun Tujhse Main Kya

Kishmat Ki Saari Baat Hai.....Kishmat Ki Saari Baat Hai

Tu Meri Jaan Mange To

Kabhi Inkaar Nahin Hoga

Tere Baad Phir Kisi Se

Mujhe Pyar Nahin Hoga

Ghere Hi Rahete Mujhe

Yaadon Ke Saaye Tere

Resha Resha Ho Gaye

Khwab Jo Sazaaye Tere

Hoke Juda Tu Aaj Bhi

Shaamil Hai Mujhmein Kya Karun....Shaamil Hai Mujhmein Kya Karun

Tu Meri Jaan Mange To

Kabhi Inkaar Nahin Hoga

Tere Baad Phir Kisi Se

Mujhe Pyar Nahin Hoga

展开显示全部歌词