
在手机上保存,获得更好体验
Woh Roi Hogi - Shankar Mahadevan
Written by:Raam Lakshman/Dev Kohli/Ravinder Rawal
Intajaar ki lanbi raatein
Kat jayengi aankhon mein
Teri yaad aayegi jab jab
Phool khilenge shakho mein
Woh royi hogi jo
Yun baithe baithe
Mera khayal
Aaya hoga
Yaadon ke ghere mein
Usne khudko
Kitanaa tanhaa paaya hoga
Na jaane kaise
Usne mujhe
Bhulaya hoga
Meri khatir sham ko toone
Roz shingaar kiya hoga
Subah lotkar bhaari
Mann se roz utar dia hoga
Tasveer aankhon mein liya
Hum to yaadon mein jiye
Pure woh ho na sake
Vaade jo hum ne kiye
Usey bhi tooti
Kasmo ne rulaaya hoga
Usey bhi tooti
Kasmo ne rulaaya hoga
Woh royi hogi jo
Yun baithe baithe
Mera khayal
Aaya hoga
Woh jab milne aati thi
Ik khushboo lekar aati thi
Woh milkar chal deti thi
Par woh khushboo rah jaati thi
Woh badan shabnam ka tha
Husn woh punam ka tha
Rang uske roop mein
Jaise har mausam ka tha
Haathon se apne
Usey rab ne
Banaayaa hoga
Haathon se apne
Usey rab ne
Banaayaa hoga
Woh royi hogi jo
Yun baithe baithe
Mera khayal aaya hoga
Jhuki jhuki si ankhiyon se
Milti hogi sakhiyo se
Baago mein na boli hogi
Jakar phulon kaliyon se
Dard ye tadpaayega
Woh sada yaad aayega
Ab to jaa ke saath hi
Dil se ye gham jayega
Na bhulaa main usey
Na usne mujhe bhulaya hoga
Na bhulaa main usey
Na usne mujhe bhulaya hoga
Woh royi hogi jo
Yun baithe baithe
Mera khayal aaya hoga
Na judaa honge hum
Maut se bhi sanam
Jaan hai tu meri
Saath hai har kadam
Na judaa honge hum
Maut se bhi sanam
Jaan hai tu meri
Saath hai har kadam
Na judaa honge hum
Maut se bhi sanam
Jaan hai tu meri
Saath hai har kadam
Na judaa honge hum
Maut se bhi sanam
Na judaa
Honge hum