Kaafi narazgi dosto ko bhi hum chod chuke hai ab peeche
Kyu out of reach hai jab inhi ke saath Maine dum itne kheeche
Mai gum ho Sangeet mai, likhne baitha gaane aankhein bhi neeche
Par kya hi faayda jab yaar hi bole ki Sahil tu neech hai
Hai khule darwaazein par apno se door mai aise nahi Banna mashoor hai
Mashoori to hogi par maza nahi aayega yaar nahi saath mai tour pe agar
haan yehi hai darr, ki kho doo na sabko mai isi ke lalach mai
Mai raaton mai jaagta, subah bhi soya nahi, uthu mai aalas mai
Kyu mujhe Rahat bhi milein na Fateh hoo jaise mai Ali
Khaaye hai mehnat ke fal hi, inn yaaron ko leke mai ghuma hoo Pune ke gully o gully
Hum to kal hi the saath, aise kya meri aukaat
Ki Milne ka bhi mujhe waqt nahi, baithe hai takht pe, ho chuke bade aur Great kya jaise hum Khali
Mai toh Kali hoo phool ki banna hai bada aur jude bhi rehna hai zameen se
Humne sapne bhi saath mai dekhe haath Mai leke peg kitne haseen se
Hai khoya nahi deenimaan aur phir bhi maine inhe choda hai Seen pe
Kaafi narazgi dosto ko bhi hum chod chuke hai ab peeche
Kyu out of reach hai jab inhi ke saath Maine dum itne kheeche
Mai gum ho Sangeet mai, likhne baitha gaane aankhein bhi neeche
Par kya hi faayda jab yaar hi bole ki Sahil tu neech hai
Par mera waada hai tujhse Pradeep ki Milne ko vaapas mai aaunga
Dilli bhi jaunga Jayesh aur Krishna ko gale lagaunga
Ravi ko Bangalore se mai Pune ke flight Mai bithaunga
Vikya ko ghar se uthaenge firse hum mehfil bithayenge
Hogi puraani kahaani nahi, cash, cards aur sirf fast cars
Pata to same hi hoga
A1 Sayali Garden Asgard