Dil Mein Ek Jaan-E-Tamanna Ne Jagah Paayi Hai-Mohammed Rafi

Dil Mein Ek Jaan-E-Tamanna Ne Jagah Paayi Hai

歌手:Mohammed Rafi

时间:2025-01-18

    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
猜你喜欢的歌曲
歌词

Dil Mein Ek Jaan-E-Tamanna Ne Jagah Paayi Hai - Mohammed Rafi/Shakeel Badayuni

Lyrics by:Shakeel Badayuni

Composed by:Shakeel Badayuni/S.D. Burman

Produced by:Ziaan Entertainment FZCO

Aaj sheeshe mein baar baar unhen

Dil ki moorat dikhaayee deti hai

Apni soorat nazar nahin aati

Meri soorat dikhayee deti hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah paayee hai

Aaj gulshan mein nahin ghar mein bahaar aayee hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah paayee hai

Aaj gulshan mein nahin ghar mein bahaar aayee hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah payee hai

Aa gaya mere tasavvur mein koi pardanasheen

Aa gaaya

Aa gaya mere tasavvur mein koi pardanasheen

Aaj har cheez nazar aane lagi mujko haseen

Kya kahoon main badi dilkash meri tanhaayee hai

Aaj gulshan mein nahin ghar mein bahaar aayee hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah paayee hai

Behki behki nashaa-e-husn mein khoyee khoyee

Behki behki nashaa-e-husn mein khoyee khoyee

Jaise khaiyyam ki rangeen rubaayee koi

Dil ke sheeshe mein pari banke utar aayee hai

Aaj gulshan mein nahin ghar mein bahaar aaye hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah payee hai

Husn ke saamne izhaar-e-waffa hai mushqil

Husn ke

Husn ke saamne izhaar-e-waffa hai mushqil

Kaash chupkar hi woh sun le mera afsaana-e-dil

Jisne ye pyaar ki manzil mujhe dikhlaayee hai

Aaj gulshan mein nahin ghar mein bahaar aayee hai

Dil mein ek jaan-e- tamanna ne jagah payee hai

展开显示全部歌词