
时间:2026-06-13
在手机上保存,获得更好体验
Haye Baba Mere Baba
Wa Waila Wa Waila
Haye Baba Wa Waila Wa Waila
Sar-e-Shabbir Ko Lekar Sakina Karti Hai Noha
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Aye Baba Mujhko Batao, Kahin Dekhi Hai Woh Bacchi
Ke Is Chhote Se Hi Sin Mein Ho Jis Pe Aye Zaeefi
Magar Beti Pe Tumhari Ye Kaisa Waqt Hai Aaya
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Tumhare Baad Aye Baba, Chali Woh Zulm Ki Aandhi
Laeen Ne Mere Gale Mein Rasan Hai Zulm Ki Baandhi
Rasan Ke Sakht Ghere Se Gala Ghutta Raha Mera
Mareeza Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Koi Kehta Hai Yateema, Koi Kehta Hai Baaghi
Koi Kehta Tha Khareedun Ise Main Bahre Kaneezi
Mujhe Sadqe Ki Khajoori Koi Laakar Deta Tha
Main Kya Kya Ho Gayi Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Laween Kaanon Ke Phati Hain, Kura Kurta Be-Jaana Hai
Watan Se Door Hoon To Ye Mera Haal Hua Hai
Nahi Hai Poochne Wala Koi Bhi Haal Hamaara
Ghareebaan Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Aye Baba Shimr-e-Laeen Ne Mujhe Baalon Se Pakad Ke
Tamaache Maare Hain Itne, Mere Rukhsaar Hain Neele
Sitam Ke Haathon Se Mujhko Bachaane Koi Na Aaya
Yateema Ho Gayi Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Tumhare Seene Pe Asghar Hai, Pehlu Mein Akbar Bhi
Magar Hai Qaid-e-Sitam Mein Akeli Aapki Beti
Kabhi Zindaan Mein Aakar Suno Ahwaal-e-Sakina
Yun Tanha Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Sohail Ab Kaise Likhun Main Woh Qaid-e-Shaam Ka Manzar
Tadap Ke Rota Hai Bhai, Behan Ki Qabr Bana Kar
Qayamat Ho Gayi Barpa, Padha Abid Ne Jo Noha
Hazeena Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein
Zaeefa Ho Gaye Baba, Sakina Chaar Baras Mein