Le ye bhi kar di poori Dua maine teri, badhaaiyaan
Jaane kyun, maini nahi tune itni kari jo maine arziyaan
Par mujhe bata
Kaisi ye teri shart hain
Zindagi bhar ka Dard hain
Kehte ho saath rehna mumkin nahi
Aur alvida kehna bhi mumkin nahi
Ek duje ko bhulana mumkin nahi
Aur aage badh pana mumkin nahi.
Socha Na kabhi ye manzar
Aayega bawandar
Aaghaaz pe mukammal, yun hoga ye kaarwaan
Jaane Kaise kisiki lag gayi hain Humko nazar
Faraaz se phisalkar tooti kaise ye daastaan
Zaaya ye intezaar, Bahaaya aitbaar
Sookhe ye aabshaar hain
Kehte ho saath rehna mumkin nahi
Aur alvida kehna bhi mumkin nahi
Ek duje ko bhulana mumkin nahi
Aur aage badh pana mumkin nahi.
Kyun paani ki tarah bikhra
Tera Mera raqeeb hain, naseeb hain
Na toda jaaye, na joda jaaye
Ye rishta bhi kitna ajeeb hain
Doori ye naa manzoor hain
Dil dono ka majboor hain
Kehte ho saath rehna mumkin nahi
Aur alvida kehna bhi mumkin nahi
Ek duje ko bhulana mumkin nahi
Aur aage badh pana, dono ka...
Mumkin nahi, mumkin nahi