Budday Hori Hai (Happy Birthday Song)-Mimi Teddy

Budday Hori Hai (Happy Birthday Song)

歌手:Mimi Teddy

时间:2021-10-21

    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
猜你喜欢的歌曲
歌词

Budday hori hai

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Meri umar ghat rahi

Tujhe mauj aari hai

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Mere budhape pe tujhe

Hasi aari hai

Lalchi hai tu

Tere muh mein pani aaya

Baap janam mein

Kabhi kya cake nahi khaya

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Mera kharcha karake

Tujhe hasi aari hai

Budday hori hai

Kaheka Budday hori hai

Mombatti foonke

Mera dum nikal gaya

Buddaywala song

Tune bhi bakwas gaaya

Main hi phir ungli se

Tujhe cake bhi chataun

Mann mein sochu kab tereko

Laath maar bhagaun

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Gand machake tujhe badi

Mauj aa rahi hai

Charo taraf khana faila ke

Gand macha diya

Pata hai par ek palet

Kitna mehenga hota hai

Or ye sab kon saf karega

Agle saal muh uthake phire se tu aayega

Sasta koi prejent deke

Tali bajayega

Phire khana tu bhakosega

Bhukkadon ki jai

Agle din sab bhool jayenge

Kitne saal ka main

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Cake vegera khake teri

Tond nikal rahi hai

Budday

Kahe ka budday

Phire tujhe return gift bhi chahiye

Kuch nahi milega sab ghar jao

Mere party mein aake

Tu toh pagala gaya beta

Tera bhi number lagega

Tu bhi hoyega budda

Happy budday to you ji

Gaana bhi ab gaa dein

Funzoa ka nam leke chowmin bhi chabale

Budday hori hai

Dekho budday hori hai

Meri umar ghat rahi

Tujhe mauj aari hai

Maa baap ne aaj ke din

Kyun kiya paida

29th february hota toh

Party ka kharcha bachta

Budday hori hai

Meri budday hori hai

Har saal ka natak ye

Kya mathfodi hai

展开显示全部歌词