Agar Tum Saath Ho-Alka Yagnik

Agar Tum Saath Ho

歌手:Alka Yagnik

专辑:Tamasha

时间:2015-10-16

    使用手机浏览器「扫一扫」

    在手机上保存,获得更好体验

标签
猜你喜欢的歌曲
歌词

Agar Tum Saath Ho - Alka Yagnik/Arijit Singh

词:Irshad Kamil

曲:Irshad Kamil

制作人:A.R. Rahman

Pal-bhar theher jaao dil ye sambhal jaaye

Kaise tumhein roka karoon?

Meri taraf aata har gham phisal jaaye

Aankhon mein tumko bharoon

Bin bole baatein tumse karoon

'Gar tum saath ho

Agar tum saath ho

Behti rehti neher-nadiyaan si teri duniya mein

Meri duniya hai teri chaahaton mein

Main dhal jaati hoon teri aadaton mein

'Gar tum saath ho

Teri nazron mein hain tere sapne

Tere sapnon mein hai naraazi

Mujhe lagta hai ke baatein dil ki

Hoti lafzon ki dhokebaazi

Tum saath ho ya na ho kya farq hai?

Bedard thi zindagi bedard hai

Agar tum saath ho

Agar tum saath ho

Palkein jhapakte hi din ye nikal jaaye

Baithi-baithi bhaagi phiroon

Meri taraf aata har gham fisal jaaye

Aankhon mein tumko bharoon

Bin bole baatein tumse karoon

'Gar tum saath ho

Agar tum saath ho

Teri nazron mein hain tere sapne

Tere sapnon mein hai naraazi

Mujhe lagta hai ke baatein dil ki

Hoti lafzon ki dhokebaazi

Tum saath ho ya na ho kya farq hai?

Bedard thi zindagi bedard hai

Agar tum saath ho dil ye sambhal jaaye

Agar tum saath ho har gham phisal jaaye

Agar tum saath ho din ye nikal jaaye

Agar tum saath ho har gham phisal jaaye

展开显示全部歌词