
时间:2026-02-08
在手机上保存,获得更好体验
Sulagti dhup mein jaise marham ka haath,
Muh khol, gatakle tapakti jo barsaath,
Satrangi aasmaan ke geele rangon se
Humne saja diya, sama liya bachpan ko;
Hai khila diya, bacha liya bachpan ko.
Kaagaz ki kashti,
Yaadon mein hai basti,
Befikar maasoom thi vo masti,
Meri kaagaz ki kashti.
Chaahe garajke gir jaaye ye ghata,
Fikar na kapdo ki, na jutho ki parvaah,
Kichad se chipke inn maile haathon ne
Hi tho safa diya, maza diya bachpan ko;
Mehka diya, fiza diya bachpan ko.
Kaagaz ki kashti,
Yaadon mein hai basti,
Befikar maasoom thi vo masti,
Meri kaagaz ki kashti.
Doob na jaana, mere yaado ke sang.
Dur hai jaana, mere khwaabo ke sang.
Kaagaz ki kashti,
Yaadon mein hai basti,
Befikar maasoom thi vo masti,
Meri kaagaz ki kashti.